Breaking

Tuesday, November 12, 2019

HAR HAJAT QABOOL HONE KI DUWA

JAB BHI DUWA MANGE IS TARH MANGE INSHA ALLAH JAROOR PURI HOGI


Aye Allah rabbul izzat tujhe sarkare do aalam alaihissalat wassalaam ka wasta, pyare muzammil aaqa ki kamli ka wasta, aaqa ki wallail zulfo ka wasta, aaqa ke wadduha ruqe anwar ka wasta, taaje izzato karamat sarkar ki naalain mubarak ka wasta, sarkar ke asaa mubarak ka wasta, pyare mustafa ke pairhan pak ka wasta, jin kankariyo ne pyare aaqa ke hath me kalma padha unka wasta, jo daraqt sarkar ko sajde me jhuke unka wasta, zamin ke jin zarrat ne aaqa ke qadmo ke bose lye unka wasta, aaqa se nisbat rakhne wali har shai har hasti ka wasta, jitne anbiyae kiram aye sabka wasta, unke jitne sahabi hue sabka wasta, hazrat adam alaihissalam se aj tak jitne auliya aye aur qayamat tak ayenge sabka wasta, pyare aaqa ke ahle bait at,har ka wasta, aapke tamam sahaba ka wasta, panjatan pak ka wasta, ashrahe mubashshirah ka wasta, qulfae rashideen ka wasta, hasnain karimain ka wasta, pyare aaqa ki azwaj e mutahhirat ka wasta, pyare aaqa ki shahzadiyo ka wasta, sarkar ghause pak abdul qadir jilani radi allah anhu ka wasta, sarkar ahmad rifahi ka wasta, sarkar ali ibne haiti ka wasta, sarkar abul hasan khirqani ka wasta, sarkar bayazid bustami, sarkar maroof kirqi, sarkar sirri saqti, sarkar juned baghdadi, sarkar mumshad alu dinewari, sarkar ruknuddin alam multani ka wasta, sare salasile tariqat wa shariyat aur sare aulyae kiram, ulma e zam, ayimma e kiram, mashaiqe kiram ka wasta, sarkar gharib nawaz aur apke silsile ke har wali ka wasta, sarkar data ganjbaqsh ka wasta, sarkar masood ghazi ka wasta, sarkar maqdum ashraf jahagir simnani ka wasta, sarkar abdullah doolha ka wasta, sarkar munawwar shah allahabadi ka wasta, marhara mutahirrah, bilgiram, masauli, bareli ke tamam aulya wa mashaeq ka wasta, marhara ke shash qutub ka wasta, sayyadna ale rasul aur sarkar abulhusain nuri ka wasta, sarkar suthre miya qutbe bilgiram ka wasta, sarkar rasheedullah shaheed ka wasta, sarkar alahazrat barelvi, sarkar hujjatul islam aur sarkar muftie azam hind ka wasta mere tamam murshidin ka wasta, qari amanat rasul ka wasta, syed ali ahmad shah ka wasta, sarkar dadabawa shah qadri chishti ka wasta, sarkar naseeruddin qutbe golrha aur waha ke aulyae kiram ka wasta, aulyae masturin ka wasta, rajalul gaib ka wasta, tamam malaeka aur unke sardaro ka wasta, tamam arwah ruhanin ka wasta, tamam aasmani kitabo aur qurane muqaddas ka aur unke ek ek hurf o aarab ka wasta, tere aur tere habib ke har muqaddas nam ka wasta, jitne bhi asmae muqaddasah hain har zuban me sbka wasta, arsho kursi ka wasta, madina wa makkah ka wasta, baitullah kaba e muqaddasah aur mizabe rahmat ka wasta, hatime kaba ka wasta,hajre aswad ka wasta, maqame ibrahimi ka wasta, gumbade qizrah wa masjide nabvi ka wasta, sarkar ki turbate at,har wa sunahri jaliyo ka wasta, muwajah wa mimbaro mehrab ka wasta, riyazul jannat ka wasta, baitul muqaddas ka wasta, baitul mamoor ka wasta tamam anbiya wa aulya ki aqri aaramgaho ka wasta, rabbul aalamin tujhe jo kuch pyara hai sabka wasta, tujhe teri izzat o jalal ka wasta, tujhe teri hurmato uluhiyat ka wasta, tujhe teri rahmato karam ka wasta hamari tamam duaen aisi qubul farma ke koyi ek hurf bhi na-maqbul ya mardud na ho:

ilahul aalamin ham sab ke gunaho ko aise baqsh ke koyi gunah aisa baqi na rahe jise tere rahmato ke pani ne na dhoya ho.

Arhamurrahemin hamari har wo hajat puri farmade jise puri krne ki tujhe quwwat wa aqtiyar hai. Tu ghani hai tere khazano me kbhi kami nahi honi, tu baqeel nahi mo'ti hai teri adate karima nahi ke mangne wale ko khali hath phere. Aye hamare rab kya teri rahmat gawara farmaegi ke tere dar se koyi bikhari qali hath laute, hame ata kar wo sari hajaten aur qushiyan jo ham tujhse mangte hain ya dil me rakhte hain, hamari aas ko yas me badalne se bacha, teri zate karim se jo ummiden wabista ki hain sab puri farma de.hamari zindagiyo ko qushiyo se bhar de.

Rabbul aalameen hamari hifazat farma duniya wa aqirat ki har musibat se, zamin wa aasman ki har bala se, apni har maqluq se, rijalul gaib ke ghazab se, jinn,jinnat wa shaitan ke shar ,hasad wa burayi se, insano ke shar wa hasad se,hamzad, balaon, pari dew, jin, khabis har chiz se, tamam sitaro aur saato, dino ki nahusat se, hame pesh aane wali har musibat wa bimari se, har tarah ke alwi wa sifli aamal saher jadu tona tantar mantar jantar se, ilahi hame har chiz ke bure asar se mahfuz rakh.

Zul jalal wal ikram hame ghalib farma hamare har dushman par apni quwwat wa taqat ke sath. Hamare har adu ko maghlub wa shikastah farmade apni quwwat o tawanayi se.

Hayyi ul qayyum hamari umro me, zindagiyo me, rizq me, daulat me, shohrat me, sehat me, kamalat me, eeman me, deen me, duniya me, apni aur apne habib se muhabbat me, qushiyo me barkaten ata farma.

Arhamurrahemeen in tamam duaon ko aur iske alawa bhi jo ham dilo me rakhte hain qubul karke puri farmade.hamare bigde kamo ko apne aqtiyar wa quwwat se bana de.

AAmeen ya rabbul aalameen bahaqqe sayyadul mursaleen sallallaho alaihe wasallam.
.

No comments:

Post a Comment